Monday, 25 August 2014

प्रार्थना

Bhagat ke vash mein hai bhagwaan - 4
Bhakt bina ye kuchh bhi nahi hai - 2
Bhakt hai isaki jaan
Bhagat ke vash mein hai bhagwaan - 4
Bhagat murali waale ki roj brindawan dole
Krishna ko lalla samajhe
Krishna ko lalla bole
Shyam ke pyar mein pagal
Hui wo shyam deewani
Agar bhajano mein laage chhod de daana paani - 2
Pyar karan wo lagi usase apane putra saman

Bhagat ke vash mein hai bhagwaan - 4

Wo apane krishna lala ko gale se laga ke rakhe
Hamesha saja kar rakhe ki lad lada kar rakhe
Wo din mein bhaag ke dekhe
Ki raat mein jag ke dekhe
Kabhi apane kamare se
Shyam ko jhak ke dekhe - 2
Apani jaan se jyada rakhati apne lala ka dhyan

Bhagat ke vash mein hai bhagwaan - 4

Wo lalla lalla pukare hay kya julm hua re
Budhapa bigad gaya ji lal mera kaise gira re
Jao doctor ko laao lal ka hal dikhao
Agar iseko kuchh ho gaya mujhe bhi maar girao
Rote rote pagal hogai ghar waale pareshan

Bhagat ke vash mein hai bhagwaan - 4

Nabj ko tatol ke bole
Ye tera laal sahi hai
Kasam kha ke kahta hun koi takleef nahi hai
Wo matha dekh ke bole ye tera lal sahi hai
Maai chinta mat kariyo koi takleef nahi hai

Johi seene se lagaya paseena jam kar aaya
Usane kai baar lagaya aur doctor chakraya
Dhadak raha seena lalla ka - 2
Murti mein the pran

Bhagat ke vash mein hai bhagwaan - 4

Dekh tere lal ki maya bada ghabra raha hun
Jaha se tu lalla lai wahi pe ja raha hun - 2
Lal tera jug jug jiye bada yehsaan kiya hai
Aaj se sara jeewan usi ke naam kiya hai - 2
Banwari teri maa nahi pagal pagal sara jahan

Bhagat ke vash mein hai bhagwaan - 4
Bhakt bina ye kuchh bhi nahi hai - 2
Bhakt hai isaki jaan
Bhagat ke vash mein hai bhagwaan - 4

Bole vridavan bihari ki jai

No comments:

Post a Comment