Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho, kaise bataoon
Kaise bataoon main tumhe
Tum dhadkanon ka geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho
Tum zindagi, tum bandagi
Tum roshni, tum taazgi
Tum har khushi, tum pyaar ho
Tum preet ho, manmeet ho
Aankhon mein tum, yaadon mein tum
Saanson mein tum, aahon mein tum
Neendon mein tum, khwaabon mein tum
Tum ho meri har baat mein
Tum ho mere din raat mein
Tum subah mein, tum shaam mein
Tum soch mein, tum kaam mein
Mere liye pana bhi tum
Mere liye khona bhi tum
Mere liye hansna bhi tum
Mere liye rona bhi tum
Aur jagaana sona bhi tum
Jaaoon kahin, dekhoon kahin
Tum ho wahan, tum ho wahin
Kaise bataoon main tumhe
Tum bin to main kuchh bhi nahi
Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Yeh jo tumhara roop hai
Yeh zindagi ki dhoop hai
Chandan se tarsha hai badan
Behti hai jismein ik agan
Yeh shokhiyaan, yeh mastiyaan
Tumko hawaon se mili
Zulfein ghataon se mili
Hothon mein kaliyan khil gayi
Aankhon ko jheelein mil gayi
Chehre mein simti chandni
Awaaz mein hai ragini
Sheeshe ke jaisa ang hai
Phoolon ke jaisa rang hai
Nadiyon ke jaisi chaal hai
Kya husn hai, kya haal hai
Yeh jism ki rangeeniyan
Jaise hazaaron titliyan
Baahon ki yeh golaiyan
Aanchal mein yeh parchhaiyan
Yeh nagariya hai khwaab ki
Kaise bataoon main tumhe
Haalat dil-e-betaab ki
Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho, kaise bataoon
Kaise bataoon
Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum dharm ho
Mere liye imaan ho
Tumhi ibadat ho meri
Tumhi to chahat ho meri
Tumhi mera armaan ho
Takta hoon main har pal jise
Tumhi to woh tasveer ho
Tumhi meri taqdeer ho
Tumhi sitara ho mera
Tumhi nazara ho mera
Yoon dhyan mein mere ho tum
Jaise mujhe ghere ho tum
Purab mein tum, pashchim mein tum
Uttar mein tum, dakshin mein tum
Saare mere jeevan mein tum
Har pal mein tum, har chhin mein tum
Mere liye rasta bhi tum
Mere liye manzil bhi tum
Mere liye sagar bhi tum
Mere liye saahil bhi tum
Main dekhta bas tumko hoon
Main sochta bas tumko hoon
Main jaanta bas tumko hoon
Main maanta bas tumko hoon
Tumhi meri pehchan ho
Kaise bataoon main tumhe
Devi ho tum mere liye
Mere liye bhagwan ho
Kaise bataoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho, kaise bataoon.
No comments:
Post a Comment